2nd Floor, Opp. China Town Cafe, Abdali Road, Multan
mardana kamzori ka ilaj

Mardana Kamzori Ka Ilaj

Symptoms, Clinical Treatments & Home Remedies

Agar aap mardana kamzori ka samna kar rahe hain to Dot Clinics Multan mein aapko behtareen ilaj muhayya kia jata hai naye aur jadeed tareeqon ke sath, jaise ke Shockwave Therapy, P-Shot, Stem Cell Therapy, aur Exosome Therapy, jo ke aapki jinsi sehat aur karkardgi ke liye faidemand hain.

Mardana kamzori aik jinsi sehat ka bara masla hai jo kamzor jismani qurbat ki wajah se paida hota hai. Yeh na srf zhani sehat, balky khud etimadi aur rishton par bhi asar andaz hota hai. Iska behtareen hal Dot Clinics Multan mein mojood hai jahan naye aur jadeed tareeqay jaise ke Shockwave Therapy, P-Shot, Stem Cell Therapy, aur Exosome Therapy apnaye jate hain. Yeh tamam ilaj aik tasadiq shdah Urologist ki nigrani mein kiye jate hain taake behtareen aur lambi muddat ke liye asar dikhaye.

Erectile Dysfunction Details

mardana kamzori (ED) symptoms

Ye chand wajahein hain jo mardon ke jinsi masail ka sabab ban sakti hain:

  • Medical Masail: Dil ka marz, ziyabtas, motapa, aur high BP.
  • Hormonal Masail: Testosterone hormone ki kami.
  • Unhealthy Aadatein: Sharab,tambako noshi, aur warzish ki kami.
  • Zehni Masail: Zehni dabao, bechaini, aur depression.
  • Dawayon ke Asraat: Kuch dawaiyan jinsi sargarmi ko mutasir karti hain.
  • Burhapa: Umer k barny ky sath sath Khoon ke bahao aur vascular circulation mein tabdili.

Mardana Kamzori Ka Ilaj

  • Mashwara aur Tashkhis: Dot Clinics ka tajurba kar Urologist aapki medical history, lifestyle, aur kisi bhi buniyadi saht ki halat ka tajzia karega taake mardana kamzori ka asal sabab maloom ho.
  • Khoon ky Tests aur Screening: Hormone levels, dil ki karkardagi, aur khoon ky bahao ka tajziya kia jata hai taake behtareen tareqa e ilaj tayar kia ja sake.
  • Treatment ka Intikhab aur Ilaj: Tashkhis ke baad, yeh tareeqay apnaye jate hain:
    • Shockwave Therapy: Yeh aik non-surgical tareeqa hai jisme low-intensity shockwaves ka istemal hota hai jo khoon ky bahao aur vascular circulation ko behtar banata hai.
    • P-Shot: Is tareeqe mein platelet-rich plasma (PRP) ko penis mein inject kia jata hai jo nerve healing, khoon ky bahao ko behtar banata aur tissue repair karta hai.
    • Stem Cell Therapy: Is therapy mein regenerative cells ka istemal kiya jata hai jo damaged penile tissue ko dobara banata hai aur naye blood vessels paida karta hai.
    • Exosome Therapy: Is tareeqe mein choti choti vesicles (exosomes) penile tissue mein inject ki jati hain jo tissue regeneration aur repair ko tez karti hain.
  • Follow-Up aur Results Monitoring: Patients ki performance ka tajziya follow-up sessions mein kia jata hai taake lambi muddat tak asar rahay.

Dot Clinics ke mahir Urologists aapke liye behtareen aur sab se munasib tareeqa apnaty hain jo behtareen nateejon ka zamin hota hai.


Mardana Kamzori ke Ilaj ke Faiday

  1. Fitri erectile function wapas aata hai
  2. Jismani bardasht aur sexual performance behtar hoti hai
  3. Khud Aitmadi barhti hai aur zehni halat behtar hoti hai
  4. Intimate relationship mazboot hote hain
  5. Surgery se mehfoz aur lambi muddat ka hal hai
  6. Vascular aur penile health behtar hoti hai

Mumkina Side Effects

Ilaj kay tareeqay ke mutabiq kuch asrat ho sakta hain:

  • P-Shot injections ki surat mein halki si sujan ya bruising
  • Shockwave Therapy ke doran halka khichao
  • Stem Cell ya Exosome Therapy ke baad halka surkh pan ya soreness



Aftercare aur Recovery Guidelines

Dot Clinics ke specialists yeh hidayat muhaiya karty hain taake behtareen nataij hasil hn:

  • Kegal exercise rozana laazmi karain.
  • 24 hours kay liye intercourse avaoid krain.
  • Tandrust lifestyle apnayen, sehatmand ghiza aur ziyada pani piyen.
  • Tumbako noshi aur sharab se gurez karein.
  • Rozana warzish karein taake khoon ka bahao behtar ho.
  • Neend ka behtar intezam karein taake zehni halat bahtr rahe.
  • Zehni dubao ko manage karne ke liye relaxation techniques apnayen.



Nateeje (Results)

Mardana kamzori ka ilaj ikhtiyar kiye gaye tareeqay aur patient ki medical history par mabni hota hai. Dot Clinics ke tajurba kar Urologist ne bohat se mardon ke liye behtareen nataij hasil kiye hain, jisme aksar patients ko erectile function mein behtri mili hai jo unko sexual activity ke liye kaafi madad deti hai.


Mardana Kamzori FAQ's

Shockwave Therapy, P-Shot, Stem Cell Therapy, aur Exosome Therapy sabhi asardaar hain, lekin patient ki medical history par mabni hai.

Nahi, yeh aik surgery or dard sy mehfooz tareeqa hai aur iska asar b foran hota hai.

P-Shot aam tor par 2-6 hafton mein behtareen nataij deta hai.

Yeh therapy damaged penile tissue ko regenerate karti hai aur naye blood vessels barha kar blood flow behtar banati hai.

G Haan, Exosome Therapy ziada tez aur behtar asar dikhati hai PRP ke muqable mein.

G han bht se patients in Ilaj ke tareeko ko mla kr or sath dawaiyo ka istimal krty hain taky jald behtreen nataij pa sky.

Bilkul, Dot Clinics mein sare tareeqay medical approval ke sath tajurba kar Urologist ke zariye anjam diye jate hain jo mukamal tor par mehfooz hain.

Jismani harkat jaisy k warzish ko apna mamool bna lain.